Kati kahin pe raat to kati sahar kahin Rahe wafa mein chain na paya magar kahin Wo sun rahe hai yu mera afsana e hayatDil hai kahin khyal kahin aur nazar kahin Dil mein panap rahi hai bas yehi arzooYarab mile humko koi humsafar kahin
Banane ko to jahan bhi bana leta hu, Ek uski justju hai jo khud ko bhula deta hu, Wo aayenge nahi ye yakin ho chala hai, Ek aur mukaddar is diye sa jala hai, Phir bhi unke laut aane ka imkan baaki hai, Dil me ummid aur thodi si jaan baaki hai.
Sabhi ko sabkuch nahi milta, Nadi ki har lahro ko sahil nahi milta, Ye dilwalo ki duniya bhi hai ajeeb Kisi se Dil nahi milta to Koi Dil se nahi milta!
Ada unki aur deewane hum bane...wafa wo na kar sake aur bewafa hum bane...yu to hazaro the bheed me...shukriya unka, jo unki nazron k nishane hum bane.
Nazar nawaz najaro me ji nahi lagta, fiza gai to baharo me ji nahi lagta, na puchh mujse tere gum me kya gujarti hai, yahi kahungi hazaron me ji nahi lagta.”