Banane ko to jahan bhi bana leta hu, Ek uski justju hai jo khud ko bhula deta hu, Wo aayenge nahi ye yakin ho chala hai, Ek aur mukaddar is diye sa jala hai, Phir bhi unke laut aane ka imkan baaki hai, Dil me ummid aur thodi si jaan baaki hai.
Youn hi tunhai main hum dil ko saza dete hain, naam likhte hain tera likh ker mita detey hain, yai soch ker rehne dia armaano ko dil main, mehman kabi gar se nikale nahi jate.
Falak ko zid hai bijliya girane ki. hume b zid hai wahi aashiyan banane ki,aapko hai zid gar hume bhulane ki, to hume b zid hai aapko apni yaad dilane ki.
Ga saku nagma,wo saaz kaha se lau, Suna saku kuch aapko wo andaz kaha se lau, Yu to chand ki tarif karna aasan hai, Kar saku aapki tarif wo alfaj kaha se lau,