Roone de aaj tu hum ko tu aankh sujaane de, Baahon me le-le aur khud ko bhig jaane de, Hai jo seene me kaid dariya wo chut jaayege, Hai itna dard ke tera daman bhig jaayega.
Ab unki chahat mein yeh naubat aa gayi, Thandi hawa bhi hume jala gayi, Kehti hai aap yahan tadapte hi reh gaye, Mein tumhare sanam ko chuu kar bhi aa gayi
Teri Yaad Jati Nahi Dil Se, Apne Jakhmo Ko Sahlate Hain, Teri Yaad Mitane Ko Khud Par,Hum Kya-Kya Julm Dhaaate Hain, Yaad Mitane Ko Teri, Hum Tere Hi Naam Ko, Phle Lahu Se Likhte Hain Or Fir Ashko Se Mitate Hain.