Dil ke angan se chand ka didar ho gaya,mai divana ho gaya,chand badalo mai kho gaya,maine badal hatne ka intjar kiya,tabtak chand kisi aur ka ho gaya..
karib rehne ki chah to hamaen bhi thi,par na jane kyon faasle hi darmiyan aaye... marz ki dava to le lete hum bhi,par na jaane gyon jakhm nazar hi nahin aaye.
Pee hai sharab har gali har mehkhane se, ek dosti si ho gai hai sharab ke jam se, guzre hai hum kuch aise mukam se ki nafarat si ho gai mohabbat ke naam se
Mohabbat dilo ko Awara Bana deti HAI Gardish me Rehne wala Sitara bna Deti HaiYe apni Hadd me Rahe to Theek WarnaKisi ko "VEER"Kisi ko "ZAARA" Bana deti hai
Aaten Jaaten Wo Humhe Nishani Degayi, Umarbhar Dohora Saku Aisi Kahani Degayi, Usse Mein Kuch Paa Saku Aisi Kaha Thi Ummeed, Shukar Hai Khuda Ka Wo Meri Aakhon Mein Paani Degayi.
Jab hum tanha ho to sath rehna,Roye ankhe to ansu poch lena,kyuki jinda hai jab tak hi satayenge,wada karte hai marne ke baad to aapko yaad bhi na ayenge!
Kuch pal ke lamhe ab k saal me hai, ham unke or wo mere khayal me hai, tanha the pehle ham beparwah thi zindagi, ab fikar lagi rahati haiwo kis haal me hai.
Raat ankho me dhaLi palkon par jugnu aye hum hawao ki tarah jakar use chuh aye usne chuh kar mujhe pathar se insan kiya mudhaton baad meri ankho me ansu aye