WO kah k chaley itni mulaqat bohat hai..... Main nain kaha ruk jao abhi raat bohat hai... Ansu meray tham jain to shoq se chaley jana.... Abhi kahan jao ge barsat bohat hai....
Jaan se bhi zyada unhe pyar kiya karte the, yaad unhe din rat kiya karte the, ab un raho se guzra nahi jata, jaha baith kar unka intezaar kiya karte the.!
karib rehne ki chah to hamaen bhi thi,par na jane kyon faasle hi darmiyan aaye... marz ki dava to le lete hum bhi,par na jaane gyon jakhm nazar hi nahin aaye.
Unko pyar karne ka hisaab na aaya..Meri kisi bhi baat ka jawaab na aaya..Hum to jaagte rahe unke hi khayalo mein..Aur unko so kar bhi hamara khwaab na aaya
Aapko dekhu,ab ye irada bhi baki na raha,tujhe sochu,shayad ab ye haq bhi hamara na raha,kabhi to karti apni majbooriyoin ka khulasa hamse,ki lad jaya jahan se tere liye ye bhi tujhko gavara na raha.