Raah me jab bhi mudkar dekhoge, mujhe apne saath paaoge, Chale jao chahe jitni dur, mujhe apne dil me paoge, Kabhi yaad aa jaaye hamari, to band kar lena aankhen apni, Dur hokar bhi tum mujhe apne kaareeb paoge.
Ishq walo se pucho unki raat ka aalam,ki unke dil ki halat kya hoti hai,samne se to vo kush dikte hai magar,unke dil ke har kone me kayamat chupi hoti hai.,
DARD ME KOI MAUSAM PYARA NAHIN HOTA, DIL HO PYASA TO PANI SE GUJARA NAHIN HOTA, DEKHE ZARA KOI BEBSI HAMARI, HUM UNKE HO GAYE JO HAMARA NAHIN HOTA.......
Kabhi zindagi ke pannon ko ulat kar dekhiyega, Aapko ek shaksh yaad aayega, Bhool jaaoge zamane ke diye saare gham, Jab hamare saath guzara waqt yaad aayega.