Dil k raste or soch ki galiyose guzarte dekha.pyar or jazbato ko yaha kuchalte dekha.zindegi mohabat ka nam kaise kahe,jabki har shaks ko humne badalte dekha.
Na roke aaj humey koi, dard mein doob jaane de jitney bhi ansoo kaid hain, aaj unko bahaane de suna hai humney, pani ki dhaar se patthar bhi kat jate hain dekhenge, haal pe mere kya sang dil bhi pighal jatey hain…
Itne karib aye ke dur ho gaye, Itane hanse ki rone ko majbur ho gaye, Aur ansuon ko apana mukaddar bana liya, tanhaiyon ke shahar me ek ghar bana liya.
Ek tuti hui zanjir ki fariyad hai hum,aur dunia ye samajhti hai ki azad hai hum.is ashiqi ne kya diya hai humko,kal bhi barbad the,aaj bhi barbad hai hum
Rehtey hain saath saath mai aur meri tanhai Kartey hain raaz ki baat mai aur meri tanhai Din to guzar hi jata hai logon ki bheer mai Kartey hain basar raat main meri tanhai