Humne pyar nahi ishq nahi ibadat ki hai,Rasmon se riwajo se bagawat ki hai,Manga tha humne jise apni duwaon me,Usi ne mujhse juda hone ki chahat ki hai.
Hathon se gir gayi lakire kahi, bhool aaye hum apni takdiren kahi agar tumhe kahin mile toh utha lena mere hisse ki sari khushiya apne hathon me saja lena
Jaate huye mud kar jab humne dekha, samajh gaye hum jo tumne na kaha, tumhara jaana thi koi majburi, tumse bhi na sahi jayegi ye duri, har wade pe teri aietbar hai hume, bas itna yaad rakhna, aapke laut kar aaneka ka intezar hai hume
ji bhar ke roye to karar paaya..is daur me kisne sachha pyar paaya..zindagi guzar rahi hai imtihano ke daur se..ek zakhm bhara nahin ki dusra taiyyar paaya.
Dil unko dundta hai gum ka shringar karke. Aankhe bhi thak gayi ab intzaar karke.. lagta hai naseeb me nahi hai jo chhahate hai hum, to kya fayda kisi se ijhar karke,