Maanzil na rahi koi thikaana bhi nahi hai.. wapas mujhe ghar laut ke jaana bhi nahi hai.. maine hi sikhaaya tha use teer chalana.. ab mere siva uska koi nishaana bhi nahi hai..!
ye arzoo hay wafa ban k taray sath rahoon dharktay dil ki sada ban k taray sath rahoon meray laboon se jisay mout bhi na cheen sakay wo zindagi ki dua ban k taray sath rahoon...............
Ai mere humnashin chal kahin aur chal, Is chaman mein ab apna guzaara nahin, Baat hoti gulon tak to seh lete hum, Ab to kaanton pe bhi haq hamara nahin