chaye hue the badal lekin khoye nahi dard bahut tha dil me par hum roye nahi koi nahi hai humara jo humse puchejaag rahe ho kisi k liye ya kisi k liye soye nahi
Itne Bekhabar Ho Chale Hai Vo Zamane Se,Ki Ab Shayad Unhe Kuch Yaad Hi Nahi,Maut Kabka Hame Apne Aagosh Me Le Chali,Aur Ek Vo Hai Ki Manne Ko Tayyar Hi Nahi
tujh se bicharne ka khayal seh nahi paata phir bhi dil ki baat keh nahi paata kyun hain aakhir zindagi mein is qadr majbooriaan maut bhi nahi aati, zinda bhi reh nahi paata
Kaanch Chube To Nishaan Reh Jata Hai, Dil Tute To Armaan Reh Jata Hai, Laga To Deta Hai Waqt Marham Is Dil Per, Phir Bhi Umer Bhar Ek Zakhm Reh Jata Hai.
Teri Yaad Jati Nahi Dil Se, Apne Jakhmo Ko Sahlate Hain, Teri Yaad Mitane Ko Khud Par,Hum Kya-Kya Julm Dhaaate Hain, Yaad Mitane Ko Teri, Hum Tere Hi Naam Ko, Phle Lahu Se Likhte Hain Or Fir Ashko Se Mitate Hain.
Dhalti shaam ka khula ehsaas hai, mere dil mein teri jagah kuchh khaas hai, tu nahin hai yahan maloom hai mujhe, par dil keta hai tu yahin mere paas hai.