DAR DAR BHATAKTE FIRTE HAIN ARMAN KI TARAH HAR KOI MILTA HAI ANJAAN KI TARAH, IS DUNIYA SE KHUSI KI AAS KYA RAKHNI, YE TO GAM BHI DETI HAI EHSAAN KI TARAH.
Kashti bhi na badli , Dariya bhi na badla , Ham dubne walo ka jazba bhi na badla Hai Zok-e-Safar aisa ek umar se hame, Manzil bhi na pai or rasta bhi na badla
Dharti so rahi hai, Aasman so raha hai Is ghum ke mausam mein, mera dil ro raha hai Aur alam kuch is tarah ho raha hai Hum jaag rahe hain, sara jahaan so raha hai
Humne mohabbat mein koi shart toh nahi rakhi thiNa manzur ho tujhe aisi koi hasrat toh nahi rakhi thiFir saath chhodh k chal di tum Tujhse o humsafar iss faansle ki umeed toh nahi rakhi thi.
Zindagi Mein Aye Hai Kuch Daur Is Tarah Sawan Mein Aate Hain Toofan Jis Tarah Muje Se Door Ho Chuke Wo Mere Apne Kuch Aise Ki Marne Ke Baad Jism Se Rooh Jis Tarah.
Safar Mein Dhoop Hogi Chal Sako To Chalo Sabhi Hain Safar Mein Tum Bhi Chal Sako To Chalo Yahan Koyi Kisi Ko Rasta Nahin Deta Mujhe Gira Ke Tum Sambhal Sako To Chalo
Ye jindgi bhi na jane kitne mod leti hai,Har mod pe naye sawal deti hai,Dhundte rehte hai ham jawab jindgi bhar.Jawab mil jaye to jindgi sawal badal deti hai.