Kal Mila Waqt To Zufain Teri Suljha Doonga Aaaj Uljha Hoon Zara Waqt Ke Sulajhne Main Yoon To Sulajh Jatee hain Uljhee Zulfain Umar Kat Jati Hai Waqt Ke Sulajhne Main
tanhai mein rote hain wo, hothon pe tabassum hai to kya hua... zindagi jeete hain wo, har zahar peete hain to kya hua... aaj bhi apni parchhaiyon mein dhoondta hoon use... yaad to taaza hai hum maazi (past) hue to kya hua... :-)
Unko pyar karne ka hisaab na aaya..Meri kisi bhi baat ka jawaab na aaya..Hum to jaagte rahe unke hi khayalo mein..Aur unko so kar bhi hamara khwaab na aaya
Kar chuke hai tauba ab hum dil lagane se, Kya mila siwa gum ke aaj tak jamane se, Hum beghar huye gum nahi khushi hai ye, Unko to chain mil gaya mera ghar jalane se.