Ab ke sawan mein paani barsa bahut,Paani ki har boond mein woh aaye yaad bahut.Is suhaane mausam mein saath nahi tha koi,Baadlon ke saath in aankhon se paani baha bahut.
Naksh Kuch Mitte Rahe Kuch Sooratein Banti Raheen, Ranj Ki Beshi Kabhie Se Raahatein Banti Raheen, Mera Sarmaayaa Umeedon Ke Sivaa Kuch Bhi Na Thaa, Kuch To Yaadein Ban Gayeen Kuch Hasratein Banti Raheen
Kisi ke liye ab ye aankhe num na karenge,Wo chale bhi jaye to gum na karenge,Ho gayi khataa kisi ko jaan se jyada chaha,Ab ye khataa dobaara hum na karenge.
Unki meethi baato ne hi to hame rulaya hai aaj bhi mere dil me unki yaadon ka saya hai unse bichhadne ka gum nahi mit paya hai aaya hai fir se wohi zamaana yaad aaya hai