Kismat Ruk Gayi, Dil Ke Taar Toot Gaye Wo Bhi Rooth Gaye, Sapne Bhi Toot Gaye Khazaane Mein The Sirf Do Aansu, Jab Yaad Aayi Aapki, To Wo Bhi Lut Gaye....
Unko pyar karne ka hisaab na aaya..Meri kisi bhi baat ka jawaab na aaya..Hum to jaagte rahe unke hi khayalo mein..Aur unko so kar bhi hamara khwaab na aaya
Palkon se bah kar jab assoo aaten hai , Aap kya jane aap hume kitne yaad aaten hai , Aaj bhi us mod par khade hai ,Jab apne kaha tha hum abhi aaten hai
Yun humko satane ki jarurat kya thi.. Dil mera jalane ki jarurat kya thi.. Jo nahi tha ishq to kah diya hota.. Dil mera tod ke jane ki jarurat kya thi.