Lahero ko pyar tha kinaro se, par uski shadi hogai sagar se, kinaro ki pireet lahero ko khinch lati hai, par badnaam na ho mohbat is liye laher laut jati hai.
Bhari Mehfil Mein Tanha Mujhe Rehna Sikha Diya, Tere Pyaar Ne Duniya Ko Jhoota Kehna Sikha Diya, Kisi Dard Ya Khushi Ka Ehsaas Nahin Hota Ab To, Sab Kuch Zindagi Mein Chup-Chap Sehna Sikha Diya.
Itne karib aye ke dur ho gaye, Itane hanse ki rone ko majbur ho gaye, Aur ansuon ko apana mukaddar bana liya, tanhaiyon ke shahar me ek ghar bana liya.
Mera kya hai ek roz jahan se rukhsat ho jaunga,Mere baad na aankho se moti bahana tum.Tere bina jinda laash hun mujhe koi ehsaas nahi,Chhukar mere jism ko koi nayi aas na jaganaa tum.
Rang wale rang se tasveer badal dete hain,Nikle hue kamaan se teer badal dete hain... Tumse mere do aansu na badle gaye,Badalne wale to taqdeer badal dete hain
Sabhi log to kabhi acchay nahi hotay jin say such sikha ho woh bhi sachay nahi hotay,Kyun aisa hai aithbar ke toti dehlizon par jo boht he apnay hon woh bhi apnay nahi hotay.
Mujhe aajmane ka natija kya nikla, dil ka jakhm najro se bhi ghara nikla, Tod kar dekh hi liya tune dil mera, Bata teri tasver ke siva is dil me kya nikla.
tanhai mein rote hain wo, hothon pe tabassum hai to kya hua... zindagi jeete hain wo, har zahar peete hain to kya hua... aaj bhi apni parchhaiyon mein dhoondta hoon use... yaad to taaza hai hum maazi (past) hue to kya hua... :-)
Use Ik Saltanat Ki Rajhdani Chiye Thi Mohabbat Mein B Usko Hukmurani Chiye Thi Bicherne Ka Wo Pehle Se Teh Ker Chuka Tha Use Meri Tarf Se Bas Berukhi Chiye Thi