Intezaar ka jo meetha dard diya hai aapne, mujh par bada ehsaan kiya hai aapne. Yeh hichkiyan bhi to nahi aati kambakht, jo sochu ke yaad kiya hai aapne.
Yeh Mat Pucho Tum Bin Hum Kya Kya Khote Rahe, Tumhari Yaadon Mein Hum Roz Kitne Rote Rahe, Na Din Gujre Hai Na Raatein, Bas Kuch Bechain Se Hum Hote Rahe
Unko pyar karne ka hisaab na aaya..Meri kisi bhi baat ka jawaab na aaya..Hum to jaagte rahe unke hi khayalo mein..Aur unko so kar bhi hamara khwaab na aaya
unke paas humare liye nafrat bhi nahi mohobbat bhi nahi us shaks ko humse koi shikayat bhi nahi shayad hum ji nahi sakte unke bina aur unhe shayad humari zarurat hi nahi
Kalam uthayi hai lafs nahi milta, jisko dhoond rahein hain vo shaks nahi milta, firte hain vo jamaane ki talaash mein, bas humare liye unhe waqt nahi milta!!!