Kal raat phir ashkon ki barsat hui, barse aaise mano puri unki muddaton ki pyas hui, dekhkar unko pathar bhi pighal jaata, par isliye duniya dil ki viraan hui, jeete ji tanha tanhaiyon k beech aaise jaise sansen hi sanson pe ehsan hui, jab tutegee sanson ki dore ek din, tab lagega hum par bhi shayad zindagi meharban hui…
mere dil ke zakhm ab aah nahi bharte, kyoN ki who ab is dil mein raha nahi karte, hum ne ansuooN se unko vidayee dee hai in ankho mein ab ashq raha nahi karte...
Hum suraj nahi jo dhal jayange,Hum waqt nahi to guzar jayange,Hum mausam nahi jo badal jayange,Hum to aansu hai jo khushi aur Gum dono me nazar aayange..
Intezaar ka jo meetha dard diya hai aapne, mujh par bada ehsaan kiya hai aapne. Yeh hichkiyan bhi to nahi aati kambakht, jo sochu ke yaad kiya hai aapne.
Itna kuch khoya ki hume paana na aaya, Pyar kiya to jatana na aaya. Aa gaye is dil mein pehli hi nazar mein who, Kasoor humara tha jo hume unke dil mein samana na aaya.