Zindagi, manjil, waqt kisi ne humara saath nahi diya, Sab par se puri tarah vishwas uth gaya. Is duniya se ub gaya hai ab humara jiya, Kisi ko kitna hi chaha kam reh gaya.
Samjhy thy hum k paon k kanty nikal gayeManzil kareeb aaye tou Rasty Badal gaye Dost humko jinki rafaqut pe naz tha Wo log bhi hawa ki tarah rukh badal gaye
Hum jise dekhne ke liye jiye ja rahe hai.wo parde pe parde kiye ja rahe hai.tajjub ki baat to yeh hai yaro hum abhi mare nahi aur wo kafn pe kafn siye jarahe h
DAR DAR BHATAKTE FIRTE HAIN ARMAN KI TARAH HAR KOI MILTA HAI ANJAAN KI TARAH, IS DUNIYA SE KHUSI KI AAS KYA RAKHNI, YE TO GAM BHI DETI HAI EHSAAN KI TARAH.
Kuch adhure khwaab aankhon me saja kar so gaya Bant di khushiyan sabi me ashqon ko chupa kar so gaya Har koi meri hansi ko dekh kar hans leta hai Mai to patthar tha gamon ko bhi rula kar so gaya