Mere sath sath sada raha woh meri nazar se chupa hua Ye ajeeb si jo misal hai na kabhi mila na juda hua Jise le gai hai abhi hawa woh varak tha dil ki kitab ka Kahin ansuo se likha hua kahin ansuon se mita hua
Kahne Ko Sab Kuch Hai, Magar Kuch Kami Si Hai, Lagta Hai Ke Dhadkan Thami Si Hai... Hamari Mohabbat Ko Thukrane Wale Zara Aaina To Dekh.... Teri Aankho Mai Bhi Nami Si Hai...
Ansuoo ko palko tale chupaye baithe hai,zakhamo ko aaj hum silaye baithe hai,tu bewafa huaa to kya.....kahi hamari wafa badnam na ho jaye hoto ko isliye dabaye baithe hai.....
her pal gamo ki yaad me jalti hai zindgi. bas mom ki tarah pighalti hai zindgi. kya raaz hai ye isqh hua hai jab se, barbadiyo ki raah pe bas chalti hai zindgi.