Ae dil kisiki yaad mein rona fizul hai, Aasu bade anmol hai, Inhe khona fizul hai, Ro to unke liye jo tumpar nissar hai, Uske liye kya rona jinke aashiq hazar hai Har baat ka matlab inkar nahi hota, Har jagha par baitne intezar nahi hota, Yun to milti hai hazaron se nazrein, Har nazar ka milna pyar nahi hota.
tumein hum yaad rakhtay hain,Tumhari yaad se dil ka nagar abaad raktay hain,Har lamha,har waqt tumhe saath raktay hain,suhani raat huti hai tumhari baat hoti hai,aur is se abaad ralktay hain
koi kya jaane ki hum hanste hua bhi roote hai, dil ke jajbaat ko asko mein piro lete hai, har baar dil mein ek kwavhis leker, dil hi dil mein use tod ker hans lete hai
nazron se agar door hai to kia hua dharkan ki tarha dil k meray paas bohat hai wo raat ki tareeki main karta hai mujh se baat us ko meri tanhaai ka ehsaas bohat hai
Mujhai dard-e-ishq ka maza maalum hai, Dard-e-dil ki intha maalum hai, Zindgi bhar mooskrane ki dua na do yaro, Mujhai pal bhar mooskrane ki saza maalum hai.