Bahoot tamanna thi, pyar mein aashiyan banane ki, Bana chuke to lag gayi Nazar zammane ki. Usi ka karz hai jo aaj hain aankhon mein aansoo, Saza mili hai hume bus muskurane ki
Aaj arse baad jab suni uski awaaz, toh laga ki mere bahut pass hai woh. Ho gayi nam yeh aankhen jab hosh aaya, aur paya ki kabhi naa puri hone wali aas hai woh.
Yun Toh Sadmo Me Bhi Has Lete The Hum, Aaj Kyun Bewajah Rone Lage Hai Hum, Barso Se Hatheliya Khali Hi Rahi Meri, Phir Aaj Kyu Laga Ki Sab Khone Lage Hai Hum..
Hun aakash taleey fir bhi, kyo ghutan nahi jati. Chehre pe aa gai jo, kyo shikan nahi jati. Lo chand ne bhi thanli hai dushmani humse, kyo CHANDNI mere ghar aangan nahi aati..
TU HAIN MUJME SHAMIL MERE KHUN KI TARAH TERA TASAWWARE JIKR BHI KARU KIS TARAH CHAHE DOOR SAHI LEKIN TU HAIN IS DUNIYA MAIN TERI UMMID REHTE HUAE MAIN MARU KIS TARAH