waade bhi dost ne kya khoob nibhaye, zakhm muft mein aur dard tohfe mein bhijwaye, is se badhkar wafa ki misaal kya hogi, maut se pehle hi dost kafan le aaye.
hum jee rahen the unka naam lekar, wo gujarte the hamara salam lekar, kal wo keh gayen bhula do hume, humne pucha kaise? wo chale gayen haath main jaam dekar.
Aagaaz to hota hai anjaam nahin hota jab meri kahaani mein woh naam nahin hota jab zulf ki kaalikh mein ghul jaye koi raahi badnaam sahi lekin gumnaam nahin hota
Tere siwa koi mere jazbaat mein nahi, aankhon mein wo nami hai jo barsat mein nahi, pane ki tujhe koshish bahut ki magar, shayad wo lakeer mere hath mein nahi
sawalon ne loota zawabon ne loota kitabon wafa k hawalon ne loota andhero se khud ko bacha paya lekin mera chaman to ujalon ne loota gairon se mujhko shikayat nahi hai muje mere chahne walo ne luta.