Kehte hain patthar dil aadmi ke, aansoo nahi nikalte; Par teri hi kudrat hai, pattharon se hi jharne phootte hain. Dil patthar ke nahin hote, jamana bana deta hai Sakhta patthar ke peeche ka dard kise pata hota hai?
Aaj arse baad jab suni uski awaaz, toh laga ki mere bahut pass hai woh. Ho gayi nam yeh aankhen jab hosh aaya, aur paya ki kabhi naa puri hone wali aas hai woh.
Bichdte hue yad de jayenge. Khud sone se pehle tumko 1 khwab de jayenge, tumhe gila hai ke hum jawab nahi dete, sanso ke rukne se pehle har jawab de jayenge.
Har aansu lete hain bus tera hi naam.. Har aansu dete hain sirf yahi paigaam… Ke har aansu mein basi hain teri yaadein tamaam…. To aaj khaate hain inhi aansuon ki kasam….. Ke ab har aansu karenge saanson ka kaam