Laut jati he duniya gam hamara dekhkar, jaise laut jati he lehren kinara dekhkar, tu kandha na dena mere janaze ko, kahi fir zinda na ho jau tera sahara dekhkar
Aashik marte nahi,jinda dufanaye jate he,hindu kehte he isse jalado do, muslim kehte he isse dafna do, magar koi a nahi kehta k ise uski mehbuba se mila do..
Itne karib aye ke dur ho gaye, Itane hanse ki rone ko majbur ho gaye, Aur ansuon ko apana mukaddar bana liya, tanhaiyon ke shahar me ek ghar bana liya.
Na dil se hota hai,na dimag se hota hai, ye Pyaar to itefaaq se hota hai;Aur kya kahen Pyaar karke bhi Pyaar na mile,Ye itefaq sirf hamare hi saath hota hai.