Zakhm aisa diya koi dawa kaam na aayi,Aag aisi lagai ke paani se bhi na bujh paayi,Hum aaj bhi rote hai unki yaadon me,jinhe hamari yaad aaj tak na aayi.
Uss Se Juda To Hogaya Per Youn Laga Mujhe Jese Jahan Mein Koi Apna Nahi Raha WO Bewafa Nahi Magar Itna Zaror Hai Pehle Wo Jis Tarah ka Tha Wesa Nahi Raha
Agar Bas Mei Hota To Bhul Kar Bhi Tujhe Yaad Na Karta Har Lambha Yon Tere Intezar Mei Til Til Na Marta Alvida Tak Na Keh Kar Gaya Tu Jate Jate Jo Teri Hakeekat Janta To Khuda Ki Kasam Yeh Gunah Na Karta
Daniswaro ka dil hu, khirat ka khyal hu, Jo hal na ho sake kabhi aisa sawal hu, pagal bana diya he muje tere intejar ne, me tere intezar ki zinda misal hu.
TERE BAGER JIYE JA RAHA HU MAIN, AISA LAGTA HAI KI KOI GUNAH KIYA JA RAHA HU MAIN, JAHAN KAHI BHI HO LAUT KAR AA JAO, VARNA EK AUR GUNAAH KARNE JA RAHA HU MAIN.
Us sikandar ka sikwa koi kya kare,chahat nahi hume apni to uski chahat kya kare,dosh nahi lehro ka dosh nahi tufan ka, kastiya ho bewafa to manjil hi kya kare..
waade bhi dost ne kya khoob nibhaye, zakhm muft mein aur dard tohfe mein bhijwaye, is se badhkar wafa ki misaal kya hogi, maut se pehle hi dost kafan le aaye.