Kaun andaza mere gum ka laga sakta hai, Bin chale kaun sahi raah bata sakta hai, Kinare walo tum mere dard ko kya jano, Dubne wala hi gahrai bata sakta hai!
Kuch aise din b meri zindagi mei aaye hai.. Aankhe jab roti hai honth muskaraye hai, sabse jyada jo dur gaye mere daman se,jaane ku sabse adhik yaad wahi aaye hai..
Rulane se pahale ek bar hasaya to hota, kasur kya hai is dil ka bataya to hota, mili saza us khata ki jo na ki kabhi hamne, kaash ye dil kabhi kahi lagaya na hota.