Gulshan ka har khwaab bahaaron mein qaid hai lagta hai dariya bhi kinaro mein qaid haiab uski yaadon se nikla nahi jata koi hai jo dil ki diwaro me kaid hai
Ai mere humnashin chal kahin aur chal, Is chaman mein ab apna guzaara nahin, Baat hoti gulon tak to seh lete hum, Ab to kaanton pe bhi haq hamara nahin
Chaahne se koi chiz apni nahi hoti, har muskurahat khushi nahi hoti, kehana toh chahte hai bahut kuch, magar kabhi waqt toh kabhi jubaan saath nahi hoti…
Hansi hoton se gayi hansa sakta hai kon, Need ankhon se gayi sula sakta hai kon. Jab ag lagjati hai gharon mai to log pani se bhuja lete hain, Lekin dil ki lagi aag bhujha sakta hai kon.
Tum Idher Rukhsat Hue Jaan Idhar Nikli Meri Kaise Kaise Hadse Sadgi Se Ho Gye Kuch Hame Bhi Maut Ki Aarzu Thi Ishq Mein Raste Kuch Aasan Teri Be-Rukhi Se Ho Gye
Har Taraf Mukaddar Ki Kami Nikli, Kabar Bhi Khodi To Jameen Pathar Ki Nikli, Le Kar Meri Lash wo Jalane Gaye,To Kambakht Mere Naseeb Ki Lakdi Bhi Gili Nikli.
Us sikandar ka sikwa koi kya kare,chahat nahi hume apni to uski chahat kya kare,dosh nahi lehro ka dosh nahi tufan ka, kastiya ho bewafa to manjil hi kya kare..