hasane ke bad kyon rulati hai duniya, jaane ke bad kyon bhulati hai duniya, baki rehti hai kya kasar zindgi me, ki marne ke bad bhi jalati hai duniya......
Wo Apni Qaid Se Muje Azad Nahi Krta Magar M Bi Azad Hone Ki Feraad Nahi Krta Kabhi Kabhi Wo Itna Yad Aata Hai Main Zid Main Aa Kr Use Yaad Bhi Nahin Krta
Ye kabhi na socha tha tumse humari judaii hogi Tumse dil lagane ki saza tum mujhe aise dogi Hum to aapki wafa pe zinda the Ye na socha tha kabhi tum sab se badi bewafaa hogi
Jane kyu log hume bhul jate hai. Kuch pal saath rehene ke baad dur chale jate hai. Sach hi kehte hai log ki sagar ke milne ke baad log barish ko bhul jate hai.
DIL AAPKO DENE KA FAISLA KAR CHUKKE HAIN HUM AB AAPKI MARZI HAI KI RAKHEIN YA CHOD DE HUM TO CHAHTE HAIN IS DIL KO ZODNA AAPSE AB AAPKI MARZI HAI DIL ZODE YA TOD DE
Agar Bas Mei Hota To Bhul Kar Bhi Tujhe Yaad Na Karta Har Lambha Yon Tere Intezar Mei Til Til Na Marta Alvida Tak Na Keh Kar Gaya Tu Jate Jate Jo Teri Hakeekat Janta To Khuda Ki Kasam Yeh Gunah Na Karta
Wo muzh se pooch raha tha batao kaisa laga, Tum peechle zakhm ko chodo,Yeh ghao kaisa laga... Ajab sawal kyia andhiyon ne patton se, Shajar se toot ke Girna batao kaisa Laga
Ai muhabbat tere anjam pe rona aaya Jane kyu aaj tere naam pe rona aaya Kabhi taqdir ka matam kabhi duniya ka gham Manzile ishq mein har gaam pe rona aaya