Mai apne ruthe hue dost ko manau kaise, Ruthane wale tu meri khata likh dena.Juda hoke tujhse hum shayad jee lenge,Makhamali hatho se bas apni ek ada likh dena.Tum to kahte the tere bin na jee sakenge,Akele kaise jee rahe ho Ye jara likh dena!.
Pukarne se pahle hi, dil ki meri sada sunana akela chalne se pahle, meri kabar ke phool chunana wada-e-wafa bas hamare hokar nibhana jaan dene ki baat, app kabhi hargiz na karna......
Rulane se pahale ek bar hasaya to hota, kasur kya hai is dil ka bataya to hota, mili saza us khata ki jo na ki kabhi hamne, kaash ye dil kabhi kahi lagaya na hota.
Barh gaye kuch aur uljhan rabta karne ke baad,khud se bhi shikwa raha un se gila karne ke baaad,is se barh kar aur kya hum per sitam hoga yahan,mashwara manga hai usne faisla karne ke baad.