Tuta hua shisha phir joda nahi jata,Aankh se Nikla hua aansu phir wapis nahi aata,Tum to keh ke bhool chuke ho sab kuch,Lekin humse wo pal bhulaya nahi jata
Sabi puchte hai ki hum muskurate kyu nahi,Humare zakhmo ko koi janta hi nahi,Hum tanha hai kitne ye hum hi jante hai,Hume gam honge itne koi manta hi nahi.
Zakhm aisa diya koi dawa kaam na aayi,Aag aisi lagai ke paani se bhi na bujh paayi,Hum aaj bhi rote hai unki yaadon me,jinhe hamari yaad aaj tak na aayi.
Dard is kadar bhadha ki ghabrake pee gaya,apni bebasi per taras kha ke pee gaya,thukra raha tha ye jaha badi der se mujhe ,aaj is jaha ko thukra ke pee gaya