Roz Subha Khud Se Ek Wada Karte HainTujhe Iss Dil Se Bhulane Ka Irada Karte Hain Apni He Baat Se Mukkarr Jate Hain Maloom Nahi Kyon Bheegti Ankhon Ko Khuwab Torne Ke Liye Majboor Karte Hain
Bagair jane pehchane ikrar na kijiye, Muskura kar dil ko be qarar na kijiye, Phool bhi de jate hai zakhm gehra kabhi kabhi, Har phool par yu aetbaar na kijiye..
Kuch hain jo bolkar apni baat samne rekhte hain Hum hain jo aankhon se izhaar karte hain Humein adat hai kinare aakar nao doobane ki Woh hain, ki toofan main bhi samandar paar kiya karte hain
Kar chuke hai tauba ab hum dil lagane se, Kya mila siwa gum ke aaj tak jamane se, Hum beghar huye gum nahi khushi hai ye, Unko to chain mil gaya mera ghar jalane se.
Ai mere humnashin chal kahin aur chal, Is chaman mein ab apna guzaara nahin, Baat hoti gulon tak to seh lete hum, Ab to kaanton pe bhi haq hamara nahin