Ek bar mombati ke ander ka dhaga bola, main jalta hu to tu kyu piglti hai? Mombati boli,jisko dil me jagah di ho vo jab bichadta hai to ansu to nikalte hai na.
Aankhon ko tanha chodkar woh jaise hi gire gaalo par, toh kuch bewafa labo ke ho gaye galo ko chodkar. Chupaakar rakha jise duniya ki nigaahon se, hamare haste hi kambakht, chalak pade inn palkon ki kataaron se…
Dil ke kareeb aa ke wo jab dur ho gaye,Sare haseen sapne chur-chur ho gaye,Humne vada nibhaya to badnami mili,Aur wo "BEWAFAI" karke bhi mashur ho gaye....
Dil ke angan se chand ka didar ho gaya,mai divana ho gaya,chand badalo mai kho gaya,maine badal hatne ka intjar kiya,tabtak chand kisi aur ka ho gaya..
Aansu ki bundo ko noor kr diya,tanha jeene ke lye majbur kar diya,ye kaisa khel khela takdir ne mere sath,jo dil ke karib tha mere usko hi mujhse door kar diya