Shama parvana choro apne pyar ki baat karo Maatam ka shauk choro apne yaar ki baat karo Roné se nazron ke ashka sukh gaye hain ab Patjhar ka dukh bhulo apne bahaar ki baat karo
Raah me jab bhi mudkar dekhoge, mujhe apne saath paaoge, Chale jao chahe jitni dur, mujhe apne dil me paoge, Kabhi yaad aa jaaye hamari, to band kar lena aankhen apni, Dur hokar bhi tum mujhe apne kaareeb paoge.
Bhari Mehfil Me Tanha Rehna Sikha Diya, Unke Ishq Me Jhooth Kehna Sikha Diya, Kisi Dard Ya Khushi Ka Ehsaas Nahi Ab, Sab Kuchh Pyar Ne Sehna Sikha Diya.
Khuda Kare Ki Pyar Me Kisi Ka Dil Na Toote Jaise Rutha Mera Sanam Kisi Aur Ka Na Ruthe Rota Hai Dil Aur Toot Jate Hain Sapne Ankhon Ke Aansoo Bhi Nahin Hote Hain Apne
Hansane ke baad kyon rulaati hai yeh duniya, jaane ke baad kyon bhulati hai yeh duniya. Zindagi mein kya kuchh kasar baaki thi jo marne ke baad jalati hai yeh duniya!!
Baharon ki Rangat Baghbaan Me Hoti Hai, Ishq Ki Tadap Insan Me Hoti Hai, Na Kare Mohabbat Aisa Koi Pathar Dil Nahin, Patjhad Me Kaliyan Bhi Viran hoti hai.
Ek ajnabi se hamein itna pyaar kyon hai. Inkar karne par bhi izhar kyon hai.meri kismat mein unse milna to nahin hai lekin her mod per unka intezar kyon hai....