uski yaad mein dekho hum kya karte hain bikhri hui zindagi mein deewaronse baatein karte hain dekha usse kal maine par woh ek chalava nikla meri kismat dekho jo mera tha woh paraya nikla
Shaam chirago se saja rakkhi hain.. Shart logo se laga rakkhi hain, shayad aa jaye koi humse bhi zyada pyasa, yahi sochkar thodi si bacha rakkhi hain.......
Kashti bhi na badli , Dariya bhi na badla , Ham dubne walo ka jazba bhi na badla Hai Zok-e-Safar aisa ek umar se hame, Manzil bhi na pai or rasta bhi na badla
Bahoot tamanna thi, rishto ke aashiyan banane ki, Bana chuke toh lag gayi Nazar zammane ki. Usi ka karz hai jo aaj hain aankhon mein aansoo, Saza mili hai hume muskurane ki ! .......
Ek aur raat chali gayi zindagi se, Ek aur din aa raha hai zindagi me; Yeh mat socho ke kitne lamhe hai zindagi me, Yeh socho ke kitni zindagi hai har lamhe me.