Badla jo Waqt, Gehri Dosti Badal Gai Suraj Dhala To Saaye ki Soorat Badal Gai Ik Umr Tak main Uski Zaroorat Bana raha Phir yun Hua k Uski Zaroorat Badal Gai
Fursat kise he jakhmo pe marham lagane ki,nigahe badal gayi apne aur begaane ki,tum na chhodna dosti ka saath kabhi,warna.tamanna na rahegi naye.dost banane ki.
Ehsaan kiya usne mujhe pyar sikha kar..hoti hai chahat kya ye mujhe samjha kar..Qurbani hai pyar ka asli matlab..chhod diya sath mera bas itna bata kar.
Agar main mar jau to mere jism ko jala dena,magar usmaise mere dil nikal lena.muje parva nahi dil jalne ki,muje parva hai usme rehne wale ek ” DOST” ki
Barh gaye kuch aur uljhan rabta karne ke baad,khud se bhi shikwa raha un se gila karne ke baaad,is se barh kar aur kya hum per sitam hoga yahan,mashwara manga hai usne faisla karne ke baad.
Kabhi zindagi ke pannon ko ulat kar dekhiyega, Aapko ek shaksh yaad aayega, Bhool jaaoge zamane ke diye saare gham, Jab hamare saath guzara waqt yaad aayega.