Hosh me aaye zamana hua, lekin bahosh khud ko paate hain, arsha beeta iss duniya mein, lekin khud ko tanha paate hain, dar lagta hai lambi umar se, itna duniya ne sataya hai, log mout se dara karte hain, hum zindagi se ghabraatein hain…
Tere siwa koi mere jazbaat mein nahi, aankhon mein wo nami hai jo barsat mein nahi, pane ki tujhe koshish bahut ki magar, shayad wo lakeer mere hath mein nahi
Aaten Jaaten Wo Humhe Nishani Degayi, Umarbhar Dohora Saku Aisi Kahani Degayi, Usse Mein Kuch Paa Saku Aisi Kaha Thi Ummeed, Shukar Hai Khuda Ka Wo Meri Aakhon Mein Paani Degayi.