Is dil ki gali mei sada ker k to dekho,yeh rasm-e-faqiri ha ada ker k to dekhoreh jayegi tumhari her ik baat adhuri,tum khudko kabhi mujhse juda ker k to dekho.
Nasibon ki baat karne se taqdir nahi badalti,Dilon ke baat karne se dil nahi badalte.... Jo bewafa hai sang-dil beimaan,Unke chahne se unke dil nahi badalte..
Hame Bich Mujhdhar Main Ussne Chod Diya, Phir Dil Hamara Chaha Jisne Usne Tod Diya, Kitna Akela Hu Main Yeh Na Pucho, Jab Mera Sath Mere Saye Ne Bhi Chod Diya.
Socha yaad na karke thoda tadpaye unko,kisi ur ka naam lekar jalaye unko,par koi chot unko lagi to dard hume hoga,ab koi ye bataye k kis tarah sataye unko..
Daastaan-e-gham-e-dil unko sunaii na gayi baat bigdii kuchh aisii ki banaii na gayi Sab ko ham bhool gaye josh-e-junoon mein lekin ek teri yaad thi aisi ki bhulaai na gayi Ishq par kuchh na chalaa dida-e-tar ka jaadoo usne jo aag lagaa di woh bujhaai na gayi
Wo muzh se pooch raha tha batao kaisa laga, Tum peechle zakhm ko chodo,Yeh ghao kaisa laga... Ajab sawal kyia andhiyon ne patton se, Shajar se toot ke Girna batao kaisa Laga
Jakhm jab mere sine me bhar jayenge, ansu bhi moti bankar bikhar jayenge, ye mat puchna kis kis ne dhoka diya, varna kuch apno ke bhi chehere utar jayenge.
Ek Bewafa Ne Zakhm Diya Bade Shauk Se..Phir Ghar Bolaya Bina Kisi Rok Tok K..Us Bewafa Ne U Kiya Mere Zakhmo Ka Ielaj..Marham Bhi Lagya To Kanto Ki Nok Se..
zindagi kabhi aanso, to kabhi muskaan hai meri dhadkano mai uska hi namo nishaan hai ret par likhe the jo do naam humne uska mit jaana hi hamari mohobat ka inaam hai