Mohabat k safar me koi rasta nahi deta,Zameen Wakif nahi banti falak saya nahi deta,Uthana khud hi padta he thaka tuta badan,K jab tak saans chalti he koi kandha nahi deta.
Daastaan-e-gham-e-dil unko sunaii na gayi baat bigdii kuchh aisii ki banaii na gayi Sab ko ham bhool gaye josh-e-junoon mein lekin ek teri yaad thi aisi ki bhulaai na gayi Ishq par kuchh na chalaa dida-e-tar ka jaadoo usne jo aag lagaa di woh bujhaai na gayi
Itna kuch khoya ki hume paana na aaya, Pyar kiya to jatana na aaya. Aa gaye is dil mein pehli hi nazar mein who, Kasoor humara tha jo hume unke dil mein samana na aaya.
Kon Kise dil me Jagah deta he, Ped bhi suke patte ko gira deta he, Wakef he ham duniya ke rivajo se. Matalab nikal jaye to har koi thukra deta hai........
Zuban khamosh, ankhon me nami hogi, Yahi bas ek dastan-e-zindagi hogi, Bharne ko to har zakham bhar jayega, kaise bharegi wo jagah jaha Teri kami hogi.