zindagi mein kyon apni tanhayi si hai apna koi nahin aur bheedh badi hai puchhe jab koi kyon ankhe hai gamzada hanste hue kahte hai ki kirkiri padi hai
Na teer, na talvaar se ghayal hue hum... Teri sirf ik nazaar se, ilzaam, Shaayar hue hum... Huwi hum se ye nadani, kay teri mehfil mein aah bethay. Ho kay zameen ki khakh, aasman se dil laga bethay.
Hakikat na puch mere fasane ki,tere jate hi badal gayi nazar zamane ki. Log puchte hai mai khush kyun nahi,kya kahu meri toh adat thi tere sang muskurane ki.
Tujhe bhoolkar bhi na bhool payenge hum, Bas yahi ek wada nibha payenge hum. Mita denge khud ko bhi jahan se lekin, Tera naam dil se na mita payenge hum..