Dost ek saahil hai tufaano ke liye, Dost ek aaina hai armaano ke liye, Dost ek mehfil hai anjaano ke liye, Dosti ek khawaahish hai aap jaise dost ko paane ke liye !!
Kabhi kabhi dosti me duriyan aa jati hai kabhi kuch mazburiya aa jati hai In duriyon ka aana b jaruri hai ye duriyan hi to sachi dosti ka ehsaas dilati hai.
Tere saath guzra lamha jab bhi yaad aega, is janam ke baad tera hi khayaal aega. Agar bakshi Khuda ne ye zindagi baar baar, to har janam,tujhsa hi Dost paane ko dil chahega
Mana ki aaj hamare saath koi dildaar nahi, lekin ye mat samajhna ki hamein kisi se pyar nahi, Kismat ne sab kuch diya hamein sirf diya hamara woh yaar nai
Kya zamaana tha,hum roz mila karte the; raat bhar chaand ke humraaz fira karte the.. Dekh kar jo chupchaap guzar jaate hain, kabhi us shakhs ko apna Dost kaha karte the....