Apni ulfat pe zamaane ka na pehra hota
To kitna achha hota
To kitna achha hota
Pyaar ki raat ka koi na savera hota
To kitna achha hota
To kitna achha hota
Apni ulfat pe zamaane ka na pehra hota
To kitna achha hota
To kitna achha hota
Paas rehkar bhi bahut door bahut door rahe
Ek bandhan mein bandhe phir bhi to hum door rahe
Paas rehkar bhi bahut door bahut door rahe
Ek bandhan mein bandhe phir bhi to hum door rahe
Meri raahon mein na uljhan ka andhera hota
To kitna achha hota
To kitna achha hota
Pyaar ki raat ka koi na savera hota
To kitna achha hota
To kitna achha hota
Dil miley aankh mili
Pyaar na milne paaye
Baaghbaan kehta hai do phool na khilne paayen
Dil miley aankh mili
Pyaar na milne paaye
Baaghbaan kehta hai do phool na khilne paayen
Apni manzil ko jo kaanton ne na ghera hota
To kitna achha hota
To kitna achha hota
Apni ulfat pe zamaane ka na pehra hota
To kitna achha hota
To kitna achha hota
Ajab sulagti huyi lakdiyaan hain jagwaale
Mile to aag ugalte kate to dhoonwa karen
Ajab sulagti huyi lakdiyaan hai jagwaale
Mile to aag ugalte kate to dhoonwa karen
Apni duniya mein bhi sukh chain ka phera hota
To kitna achha hota
To kitna achha hota
Apni ulfat pe zamaane ka na pehra hota
To kitna achha hota
To kitna achha hota
Pyaar ki raat ka koi na savera hota
To kitna achha hota
To kitna achha hota...
Song Details
- Movie
- Sasural
- Artist
- Jaikishan Dayabhai Panchal, Shankar Singh Raghuvanshi
- Music Directory
- Jaikishan Dayabhai Panchal, Shankar Singh Raghuvanshi
- Music Label
- Saregama
- Singers
- Lata Mangeshkar, Mukesh Chand Mathur (Mukesh)
- Lyricist
- Hasrat Jaipuri