Woh Subah Kabhi from Phir Subah Hogi Movie (Mohammed Zahur Khayyam)

Woh subah kabhi toh aayegi, woh subah kabhi toh aayegi
In kaali sadiyo ke sar se, jab raat kaa aanchal dhalakega

Jab dukh ke badal pighalenge, jab sukh ka sagar chhalkega
Jab ambar jhum ke naachega, jab dharati nagame gaaegi
Woh subah kabhi toh aayegi, woh subah kabhi toh aayegi

Jis subah ki khatir jug jug se
Hum sab mar mar ke jite hai

Jis subah ke amrit ki dhun me, hum zahar ke pyaale pite hai
In bhukhi pyaasi ruho par, ek din to karam faramaayegi
Woh subah kabhi toh aayegi, woh subah kabhi toh aayegi

Maana ke abhi tere mere aramaano ki kimat kuchh bhi nahi
Mitti ka bhi hai kuchh mol magar

Inasaano ki kimat kuchh bhi nahi
Inasaano ki izzat jab jhuthe sikko me naa toli jaayegi

Woh subah kabhi toh aayegi, woh subah kabhi toh aayegi
Woh subah kabhi toh aayegi, woh subah kabhi toh aayegi...

Song Details
Movie
Phir Subah Hogi
Artist
Mohammed Zahur Khayyam
Music Directory
Mohammed Zahur Khayyam
Music Label
Saregama
Singers
Asha Bhosle, Mukesh Chand Mathur (Mukesh)
Lyricist
Sahir Ludhianvi

Other Lyrics from Phir Subah Hogi

Aasman Pe Hai Khuda
Chin O Arab Hamara
Do Boondein Saawan Ki
Jis Pyar Mein Yeh
Phir Na Kije
Woh Subah Kabhi

Other popular Lyrics by Mohammed Zahur Khayyam

Rut Jawan Jawan Raat Mehrbaan (Aakhri Khat)
Aur Kuchh Der Thahar (Aakhri Khat)
So Jaa Mere Pyaare So Jaa (Foot Path)
Bin Bulaye Hum (Ahista Ahista)
Mere Chanda Mere Nanhe (Aakhri Khat)
Kai Saal Pehle (Ahista Ahista)
Ab Charaghon Ka Koi (Baawri)
Najariya Teer Chalaye (Bepanaah)
Simti Hui Yeh Ghadiyan (Chambal Ki Kasam)
Na Jane Kya Hua (Dard: Conflict Of Emotions)