Betaab hai dil
Betaab hai dil dard-e-muhabbat ke asar se
Jis din se mera chand chhupa meri nazar se
Betaab hai dil
Soi hui kismat ko meri aake jaga ja
Aaja meri duniya mein zara laut ke aaja
Soi hui kismat ko meri aake jaga ja
Aaja meri duniya mein zara laut ke aaja
Aankho ko hai ummid
Aankho ko hai ummid, teri raah-guzar se
Jis din se mera chand chhupa meri nazar se
Betaab hai dil
Ye kaun mere dil meri aankho mein samaya
Ye kiski nigaho ne mujhe apna banaya
Ye kaun mere dil meri aankho mein samaya
Ye kiski nigaho ne mujhe apna banaya
Begana hui
Begana hui jaati hoon duniya ki khabar se
Takara gayee ye kis ki nazar meri nazar se
Betaab hai dil
Dam bhar ko teri yaad se, gaafil nahi rahati
Jo dil pe guzarati hai, zubaan se nahi kahati
Dam bhar ko teri yaad se, gaafil nahi rahati
Jo dil pe guzarati hai, zubaan se nahi kahati
Fariyaad bhi
Fariyaad bhi hoti nahi rusuvaai ke darr se
Jis din se mera chand chhupa meri nazar se
Betaab hai dil
Ik mauj hai ik raag hai ik raag hai ji me
Hansti hoon khushi me, gaati hoon khushi me
Ik mauj hai ik raag hai ik raag hai ji me
Hansti hoon khushi me, gaati hoon khushi me
Utha hai ye toofan
Utha hai ye toofan, khuda jane kidhar se
Takara gayee ye kiski nazar meri nazar se...
Aaj Machi Hai Dhoom |
Afsana Likh Rahi Hoon |
Beech Bhanwar Mein |
Betaab Hai Dil |
Chale Dil Ki Duniya |
Dil Dhadke |
Hum Dard Ka Afsana |
Hum The Tumhare |
Yeh Afsana Nahi Jalim |
Yeh Kaun Chala |