Saaf Karo Insaf Karo from Aashirwad Movie (Vasant Desai)

Suniye
Aaaaaa aaaaaa aaaaaaa aaa aaa aaaaaaaa
Saaf karo
Saaf karo insaaf karo
Saaf karo insaaf karo
Bhai bhool bhulaiyyaan maaf karo
Bhai bhool bhulaiyyaan maaf karo
Hai ek paheli badi naweli
Hai ek paheli badi naweli
Jo boojhe to baney kalandar
Jo boojhe to baney kalandar
Aur na boojhe to
Bandar bandar bandar

Kai baras to kabhi na aaye
Arre kai baras to kabhi na aaye
Aur aaye to phir kabhi na jaaye
Hai aaye to phir kabhi na jaaye?
Hoo kaato phenko
Phir aa jaaye
Boojhe koi ye batlaaye
Kai baras to kabhi na aaye
Aaye to phir kabhi na jaaye
Kaato phenko phir aa jaaye
Kaato phenko phir aa jaaye

Arre, aisa lagta hai jaise hum log gadhon ke gaaon mein aa gaye
Hahaha
Chachaa, ye to gaali de rahe hain
Arre re re re
Gadhe nahin, soorten to dekho, ullu aur bandron ke gaaon mein aa gaye hain
Shivnath, daadhi to nahin
Daadhi?
Haan kaato, phenko phir aa jaaye
Kai baras tak. . . Arre haan
Haan daadhi
Ha ha ha ha ha
Kyun chachaa, aakhir tinkaa milaa na daadhi mein?
Hooo
Yaad aayaa haan

Radha naam ki ladki thi ik
Oonche kad ki
Tumko us ki baat sunaaun
Arre kyaa kehti thhi
Kyaa aaaa karti thhi
Aaaaaaa aaaaaa aaaaaaaa
Gaagar mein jab agni bhar ke
Sar pe rakh li, rakh li
Aji oo sar pe rakh li, rakh li
Ho jamuna paaon mein pad ke boli
Tadpe machhli machle
Aji oo tadpe machhli machle
Ho jitni baar mujhe phoonkoge
Aaag lagaa ke

Utni baar utthegi tan se
Dhuen ki badli badli
Aji oo dhuen ki badli badli
Kaun thi raadha
Kaun thi jamuna
Kaun thi raadha
Kaun thi jamuna
Ab ki baar bataao to jaanen
Mirza saab ka lohaa maanen
Kyun kalandar
Banogey bandar
Chullu bhar ka peena ho to laaun samandar
Kyun kalandar
Banogey bandar

Gaagar mein jab agni bhar ke
Sar pe rakh leee
Sar pe rakh leee
Jamuna paaon mein pad ke boli
Tadpi machhli
Tadpi machhli
Jitni baar mujhe phoonkoge aag laga ke
Jitni baar mujhe phoonkoge aag laga ke
Utni baar utthegi tan se
Utni baar utthegi tan se
Dhuen keee
Badli badli badli
Ab iska jawaab to do
Kaan pakad kar

Naak pe donon ghutne tekey
Uthh kar do aankhon mein
Aankhen daal ke dekhe
Arre kaan pakad kar
Naak pe donon ghutne tekey
Uthh kar do aankhon mein
Aankhen daal ke dekhe
Kyun kalandar
Banogey bandar
Chalegaa chullu
Ya laaun samandar
Saari jawaani koi na aaya aankh milaane
Aaj budhaape mein koi kaise pehchaane
Kaan pakad kar
Naak pe jab wo ghutne tekey
Kaun, kaun

Kaan pakad kar
Naak pe jab wo ghutne tekey
Tab aankhon par chadh ke chashmaa aankh to dekhe
Achha ab ke tum sab meri baat bataao
Aur na samjho tum to saare gobar khaao
Ek dafaa ek dost ke ghar pe socha thaa wo ghar pe hogaa
Ek dafaa ek dost ke ghar pe socha thaa wo ghar pe hogaa
Jaa kar dekha
Dost nahin hai
Dost nahin hai
Dost nahin hai
Us dost ki sunder patni ko jis haal mein paaya
Taubaa taubaa dekha aur pasinaa aayaa
Maan ko bhi ek baar yoon hi dekha thaa lekin
Behan ko dekh ke mushkil se dil ko samjhaaya
Aisi kitni sunder sunder naariyaan dekhi bhaiyyaa
Aisi kitni sunder sunder naariyaan dekhi bhaiyyaa
Lekin

Apni patni ko us haal mein dekh na paayaa
Apni patni ko us haal mein dekh na paayaa
Ab kaho kalandar
Haal bataao
Kaho kalandar haal bataao
Varna langdi chaal dikhaao
Haa haa haa haa haa haa haa
Chachaa mein to inhen bandariyaa nahin kahoonga, kyun
Kyun

Bandariyaa naaraaz ho jaayegi
Ha ha ha ha ha ha
Chheee chheee chheee chheee
Jaanta hoon jo soch rahe ho
Chheee chheee chheee chheee
Jaanta hoon jo soch rahe ho
Naari ka wo roop jo tum sab khoj rahey ho
Chheee chheee chheee
Jaanta hoon jo soch rahe ho
Naari ka wo roop jo tum sab khoj rahey ho
Ab suno jawaab

Maan ko dekha behan ko dekha dekhi bhabhi achhi
Maan ko dekha behan ko dekha dekhi bhabhi achhi
Lekin
Apni patni ko dekha hai kis ne
Vidhwaa
Vidhwaa
Sachi sachi sachi
Saaf kiyaa
Saaf kiyaa
Saaf kiyaa insaaf kiyaa
Saaf kiyaa insaaf kiyaa
Bhai bhoolne waalon ko maaf kiyaa
Bhai bhoolne waalon ko maaf kiyaa..

Song Details
Movie
Aashirwad
Artist
Vasant Desai
Music Directory
Vasant Desai
Music Label
Saregama
Singers
Asha Bhosle, Ashok Kumar, Harindranath Chattopadhyay, Hemlata (Lata Bhatt)
Lyricist
Gulzar (Sampooran Singh Kalra)

Other Lyrics from Aashirwad

Aao Bachchon Khel Dikhaaye
Ik Tha Bachpan
Jeewan Se Lambe Hain Bandhu
Jhingaapur Taakur Takur
Kano Ki Ek Nagari Dekhi
Naav Chali Naani Ki Naav Chali
Saaf Karo Insaf Karo

Other popular Lyrics by Vasant Desai

Aao Bachchon Khel Dikhaaye (Aashirwad)
Naav Chali Naani Ki Naav Chali (Aashirwad)
Bikhar Gaye Bachpan Ke Sapne (Goonj Uthi Shehnai)
Ik Tha Bachpan (Aashirwad)
Chandrama Ja Unse Keh De (Bharat Milap)
Jo Dil Peh Gujarati Hai (Dahej)
Muqaddar Ke Hathon (Sheesh Mahal)
Bade Bhole Ho Hanste Ho (Ardhangini)
Tune Jo Idhar Dekha (Ardhangini)
Saaf Karo Insaf Karo (Aashirwad)