Saamne na ho to tarasti hain aankhein,Yaad me teri barasti hain aankhein,Mere liye nahi inke liye hi aa jaao,Aap ka bepanaah intezaar karti hain ye aankhein.
Ikraar mein shabdon ki ehmiyat nahi hoti, Dil ke jazbaat ki awaaz nahi hoti, Aankhen bayaan kar deti hain dil ki daastan, Mohabbat lafzon ki mohtaaz nahi hoti!
Pyar me bewafai mile to gum na karna,Apni aankhe kisi k liye num na karna,Wo chahe laakh nafrat kare tumse,Par tum apna pyar kabhi uske liye kam na karna.
Aarzoo dil mein hai kya, kya kahoongar waqt tham jaaye to bas tumhein dekhtaa rahoontumhaare aks ko apne wajood mein aise shaamil kar loonjab bhi aankhein band karoon, bas tumhein dekhaa karoon
Tera intzaar karke har raat ko tanha so jata hun.Subah hote hi phir tere milne ki aas me aankhe bhichata hun.Ye silsila ab tum khatam kar do,ek din milne ka mukarar kardo..
MERI AANKHEN RAKH LO MUJHE KUCH KHUAB DE DO,JIS ME TUMHAARI JHALAK HO AISI SHARAB DE DO,CHALO CHORO SAARI BAATEN EK BAAT MAANO,MERI SAARI UMAR LE LO BAS EK PAL KA SAATH DE DO.
Yaad hai teri aur zindagi mein gam hai Manzar hai judai ka aur aankhen bhi nam hain Tu aaye to dhadak jaaye, aa jaaye isme jaan Teri aarzoo hai, dil mein dhadkanen bhi kam hain