Teri pyari umid kaise tod jaun, thu khwab dekhe aur mein nazar na aaon..! Kuch to baat hai dosti me hamari, kya apke kadam nahi kehte ki chalo mil aaun...
Armano ki sej par dosti ne karwat li hai.Apke dost ne apko ye kasam di hai.Juda ho k bhi juda na hona.Warna log kahenge,Ek dil ne dhadkan Ki jaan li hai.
Shayari mein dimaag nahi dil zaroori hai Kuch jigar ka khoon ho shamil zaroori hai Sirf lafjo ki tukbandi shayari nahi Sher ho dil pe lagne ke qabil zaroori hai
Muskaan tere hothon pe to Khushi mere dil me hoti hai, Agar dard tere dil ko ho to Aankhein meri roti hain, Tu mehsus karke dekh dost, DOSTI aisi hi hoti hai...