Kya zamaana tha,hum roz mila karte the; raat bhar chaand ke humraaz fira karte the.. Dekh kar jo chupchaap guzar jaate hain, kabhi us shakhs ko apna Dost kaha karte the....
mere khabo ka har ek naksh mita de koi. sukhe patto ka bacha dher jala de koi. meri pechan ka ek shaksh isi shehar me hai mai bhi jinda hu zara use bata de koi.......
Ae khuda apne chaand par itna gurur na kar, ek chaand sa dost hum bhi rakhte hain. Jab tarif hoti hai tere chaand ki, log misaal mere dost ki dete hain.
Karo karam ya sitam,gila ham nahi karte,pathar pe yakinan phul khila nahi karte,mita do hamko dil se magar khyal rahe,hum jaise DOST dobara mila nahi karte.
Waqt mile to hamein Yaad kar lena,.Pal pal na sahi, din me ek bar Yaad kar lena,. Dost honge aap k hazar,. Par hamare Liye aap ek hai,. Itna Yaad rakh lena..
Aksar dosti karne wale,Apne dost ki tarif karte rehte hai,Taki wo unse juda na ho jaye,Hum isliye khamosh rehte hai,Taki un par koi aur fida na ho Jaye