Sachi hai dosti aajmake dekh lo, karke yakin mujh pe mere paas aake dekh lo. badalta nahi kabhi sona apna rang, chahe jitni baar marji aag me jalaake dekh lo
Aap jaisa Dost Har 1 ka Khwab Hota hai, Jinka 1 Alag Andaz Hota hai, Aasma me Taron ka koi Hisab Nahi, Par Aapke Jaisa Dost Taron me bhi Aftab Hota hai.
ye mat sochna ki bhul jaayenge hum tumhe, door rehkar bhi chahenge hum tumhe, tumhe agar dost bankar raas nahi aaye, to ajnabi bankar bhi yaad aayenge hum tumhe
Lamho mein jo kat jae wo kya jindagi aansuo mein jo beh jae wo kya jindagi jindagi ka to falsafa hi kuch aur hai jo har kisi ko samajh aae wo kya jindagi
Koi khat nahi, Koi khabar nahi, aapko shayad dosti ki kadr nahi, hum to aapko yaad karte hai har sans ke sath, shayad aapko hamari sanso ki fikar nahi.
Dosti Ke Nam Pe Diwane Chale Aate Hai. Shama Ke Piche Parwane Chale Aate Hai. Tumhe Yad Na Aayee Khair. Aana Meri Maut Par. Us Din To Begane Bhi Chale Aate Hai.