Kya pata fir se wo taqdeer mil jaye,ZINDGI ka sab se haseen pal mil jaye,Chal banaye sagar pe ret ka makan,Shayad humein wapas fir se apna BACHPAN mil jaye.
Aaj hum bichhade hai to kitne rangeele ho gaye meri aankhein surkh tere haath peele ho gaye kab ki patthar ho chuki thi aankhein magar chhu ke dekha to mere haath geele ho gaye
Waqat Kee Aanch Per Pather B Pighal Jate Hain kehkhain(Hasi) Toot Ker Ansooun Main Badal Jate Hain Kaun Kisi Ko Yaad Rakhta Hai Umer Bher K Liey Waqat K Saath Saath Khayalat B Badal Jate Hain
Kis rah par jana h ye kon janta h, Kis manzil ko pana h ye kon janta h,khushi k 2 pal milte h to ji bhar k jilo, Kab rooth jaye khud se zindagi ye kon janta h.
rishtey banane ke liye bas ek PAL chahiye,par unhe nibhane ke liye DIL chahiye,khelta to sagar bhi hai lehro se,par unhe thamne ke liye bhi to SAHIL chahiye.