U toh bahutse jaltey hai par Kundan kaun yaha ban pata,Dube to lakho hai par Moti kiske haatho ata,Sagar ka nimantran hai mujko per lahero ko sweekar nhi,Jivan to apna hai Lekin Sapno per adhikar nhi.
Kis rah par jana h ye kon janta h, Kis manzil ko pana h ye kon janta h,khushi k 2 pal milte h to ji bhar k jilo, Kab rooth jaye khud se zindagi ye kon janta h.
HAR baat ka koi jawab nahi hota, har ISHQ ka naam kharab nahi hota,yu to zhoom lete hai NASHE mein pine wale, magar har NASHE ka naam SHARAB nahi hota.
Hazaro ki ginti to hame nahi aati,par khwab kuch aisa dekhte hai,ke ret ka har zarra agar hira ban jaye to tohfe me aapko registan dene ki khwaish rakhte hai